- read this somewhere, in the morning today
Dunya kay Aii musafir! manzil teri kabar hai
taii kar raha hai jo tu, do din ka ye safr hai
Dunya kay Aii musafir! manzil teri kabar hai
jub se bani hai dunya, laakhoon karooroon aii
baakii raha nai koii, mitti mai sub samaii
is baat ko na bhoolo, sub ka yehi hashar haii
Dunya kay Aii musafir! manzil teri kabar hai
ye aalishaan banglay, kisi kaam kai nahi hain
mehloon mai sonay walay, mitti may so rahay hain
do gazz zameen ka tukra, chota se tera ghar haii
Dunya kay Aii musafir! manzil teri kabar hai
aankhoon se tu nay apni, daikhay kaii janazay
haathoon se tu nay apnay dafnaii kitnay murday
anjaam se tu apnay kiun itna bay khabar hai
Dunya kay Aii musafir! manzil teri kabar hai
No comments:
Post a Comment